Yaadon Ki Shayari Sms - 2





~Ek pal ehsaas ban key aate hoh, ~


Ek pal ehsaas ban key aate hoh,
Aur doosre pal khwaab ban ke udd jaatey hoh,
Yeh maloom hai ki tanhai sey darr hai humey,
Phir bhi baar baar tanha chod jaatey hoh




~Hamari yaad me wo bhi kabhi khoye honge, ~


Hamari yaad me wo bhi kabhi khoye honge,
Khuli aankhon se wo bhi kabhi soye honge,
Mana ke muskurana andaaz hai gam chupane ka,
Magar hanste hanste wo bhi kabhi roye honge.




~Kaash wo pal sang bitaaye na hote, ~


Kaash wo pal sang bitaaye na hote,
jinko yaaad kar aaj ye aansu aaye na hote,
khuda ko agar is tarah door le jaana hi tha,
to itni gahraayi se dil milaaye na hote…..




~Unka ashiyana dil mein basa rakha hai, ~


Unka ashiyana dil mein basa rakha hai,
Unki yadon ko seene se laga rakha hai,
Pata nahi yaad aate hain wohi kyun,
Vaise dost to hamne auron ko bhi bana rakha hai.




~Teri doori ka ehsaas jab satane laga. ~


Teri doori ka ehsaas jab satane laga.
Tere sath guzra har lamha yaad aane laga.
Jab bhi bhulane ki koshish ki.
Tu dil ke aur karib aane laga.