Sad Shayari Sms - 1





~Jaane kya mujhse zamana chahta hai ~


Jaane kya mujhse zamana chahta hai
Mera dil todkar mujhe hasana chahta hai
Jaane kya baat jhalakti hai mere chehre se
Har shaks mujhe aazmana chahta hai




~Pyaar aa jaata hai aankhoon main roonay say pehlay ~


Pyaar aa jaata hai aankhoon main roonay say pehlay
har khuwab toot jaata hai soonay say pehlay
ishq hai gunnah yeh to samajh gaye
kaash koi rok leta yeh gunnah honay say pehlay




~Unki tasveer ko seene se laga lete hain, ~


Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.




~Na jaane tum pe itna yakin kyon hai? ~


Na jaane tum pe itna yakin kyon hai?
Tera khayal bhi itna haseen kyon hai?
Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai;
to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai?




~Aansu mein naa dhundhna hame, ~


Aansu mein naa dhundhna hame,
hum tumhe aankhon mein mil jaayenge,
tamanna ho agar milne ki to
band aankhon se bhi nazar aaenge.